Awesome Dard Bhari Hindi Poetry

Mere pehlu mein bhi ek shama jala karti h
Jiski lou se teri tasveer bana karti hain,

Samne tere zuban band hi rehti hai magar,
Dil ki jo baat hai wo aankh bayan karti hai,

Chup kyu ho humse koi baat karo ae-dilwar,
Aise khamoshi se to takleef badaa karti hai,

Shamma jalti h to zamane ko pata chalta h,
Dil k jalne ki khabar aakhir kisko hua karti h

Share This

Ladkiya bewafa nahi hoti | Short Hindi Poems on Girls

Larkiyaan Bewafaa nahi hoti
Wo to majburiyo mein lipti hain

Apne shiddat bhare khyaloon mein
Apne ander chhupi ek aurat mein

Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain

Apne reet or rawajoon se
Aane wale naye azaboon se

Zarurat mein khile ghulaboon se
Pyaar karti hain or chhupati hain

Larkiyaan Bewafaa nahi hoti
Kyu k majborioon mein lepti hain

Aur har lamha darti rehti hain
Apne pyaar se, apne saye se

Apne rishton se, dil ki dharkan se
Apni khwahish, se apni kushioon se

Larkiyaan Bewafaa nahi hoti

Share This

Heart Touching Dard Bhari Sad Poem in Hindi on Garibi

Desh ka Gareeb Beta – Heart Touching Hindi Poem

 

Main bhi padhne jata toh kitna achha hota…
Kuchh ban kar main bhi dikhata to kitna achha hota.

Agar gareebi naa hoti itni humare desh mein…
Mujh jaisa har bacha bhar pet khana khata to kitna achha hota…

Apne umar ke bacho ko jab befikar khelte dekhta hu…
Kash mai bhi majduri na karke aise hi khelta to kitna acha hota…

Maa baba jab meri ek khwahish ke liye ek duje ka muh dekhte h
Toh sochta hoon main paida hi na hua hota to achha hota…

Jab maa ko bhukhe pet sona padta h hume rukhi sukhi khila kar…
Toh sochta hu main koi bada aadmi ban jata toh achha hota.

Share This

Maa Ka Ehsaas | Sad Hindi Poem On Maa

Jane kabse soya nahi hu main, sula do maa,
Aakar mere pas muje fir se loriya suna do maa,

Ansoo meri ankho mein jam se gaye hain,
Bhar ke dil mera mujhe ab rulaa do maa,

Bhuka hu main tere pyar bhare niwale ka,
Apne hatho se ek niwala khila do maa

Kese kese dard deke duniya rulane lagi h muje
Aanchal me leke muje inse nijah dila do maa

Koi nai h mera ye ehsaas dilane lagi h duniya
Thamkar hath apne hone ka ehsas dila do maa

Share This

Cute Love Poem in Hindi For Him By a Girl

Woh suhane lamhe ab bhulaye nahi jate
Yaado k parinde yu hi udaaye nahi jate

Woh chhat par aana wo julfe lehrana
Sabhi pegaam likhkar bataye nahi jate

Woh bahana, saheli k ghar padne jana
Gali k chakkar ab aise lagaye nahi jate

Wo aangan mein aakar angithi jalana
Purane bahane to ab banaye nahi jaate

Mohalle ki shadi me saj-sanvar kar jana
Humesha toh ye jalwe dikhaye nahi jate

Woh kisi kone me chup kar aansu bahana
Aise ehsaas toh “Meet” karaye nahi jate

Share This

Sad Short Hindi Poetry Rait Bhari Aankho Me

Rait bhari h ankho me aansu se tum dho lena
Koi sukha ped mile toh usse lipat kar ro lena,

Kuch to rait ki pyas bujhao, janam-2 ki pyasi h
Sahil k dhalne se phele apne paau bhigo lena,

Mene dariya se sikhi hain pani ki pardadari,
Upar upar hanste rehna gehrayi mein ro dena

Share This

Desh Bhakti Poems on Republic Day

Na thi kisi ki himmat koi aankh na dikhata tha
Ab kaha chali gyi hain humari androoni shakti

Gila sikhwa dur kar prem ka ban chalana hoga
Yahi pegaam hume pahuchana hoga basto basti

Hume humare desh ko wahi esthan dilana hoga
Humare mein hi hain humare desh ki shakti….

Hum mein hi hain humare rashtra ki shakti…..
Humari desh bhakti hi hain humari shakti…….

 

Share This

New Year Poems In Hindi On Love

Har ik naya saal zindagi ka,
Muje hain fir yaad dilata,
Kitna kuch khoya hai mene,
Kitna kuch pana chaha mene

Har ik naya saal zindagi ka,
Muje hain fir yaad dilata,
Tu door hain mujse kitna,
Tuje chaha tha mene kitna

Har ik naya saal zindagi ka,
Muje hain fir yaad dilata,
Teri kami kitni mehsus karti hu
Teri yado me kitni khoyi rehti hu

Har ik naya saal zindagi ka,
Muje hain fir yaad dilata,
Tu nahi h mere pass fir bhi,
Tere hatho ka ehsaas h ab bhi

Har ik naya saal zindagi ka,
Muje hain fir yaad dilata

Share This