Dard Bhari Poetry By A Upset Boy

Bahut faltu se lagte hai mujhe ab yaar k kisse,
Gul-o-guljar ki baate lab-o-rukhsar k kisse

Yaha sab k muqaddar me fakat zakhm-e-judayi h,
Sab hi jhoote fasane hain wisal e yaar ke kisse.

Bhala ishq-o-mohabbat se kisi ka pet bhara h kabi?
Suno tum ko sunata hu main kaar-o-baar k kisse

Mere ehbaab kehte h yehi ek aib hai mujme,
Sar-e-dewaar likhta hu pas-e-dewaar se kisse

Main aksar esliye logo se ja k khud nahi milta,
Wahi roz ki bekaar ki baate, wahi beekar ke kisse

Share This

Kafan Shayari

Dil se naa pucho ki ander dard kitna hain
Dhadkan se na pucho ki baki khel kitna h
Puchna hi h toh jalti huyi laash se pucho
Zindagi me gum or kafan me chen kitna h

Share This
0

Zakhm Shayari

Mohabbat ki baat na karo, muje acha nai lagta,
Kisi ki pyar par etbaar karna, ab muje acha nai lagta

Gujar gaye jo din wo wapas laut kar nahi aate,
Lekin un dino ko yaad karna ab muje acha nai lagta

Mujhe maloom hain ki wo shaqs bewafa tha,
Magar mujhe kisi ko bewafa kahna acha nai lagta

Zakhm bahut diye hain usne es dil-e-nadan ko,
Zakhm hum b dete pr hume badla lena acha nai lagta

Share This
2

Heart Broken Shayari

Wafa karne se mukar gaya hai dil,
Ab pyaar karne se darr gaya h dil

Ab kisi sahare ki baat mat karna,
Jhute dilaso se bhar gaya h dil

Jab bulate the jinda dil the hum,
Ab na aana ke marr gaya hai dil

Ab wo pagalpan na wehshat hai,
Kha k dhoke itne sambhal gya h dil

 

Share This
0

Rona Shayari

Apni bebasi par aaj fir muje rona sa aaya,
Dusro ko nahi mene toh apno ko ajmaya
Maine har ek dost ki tanhayi door ki,
Fir b khud ko har mode par tanha hi paya

 

Share This
0

Tanha Dil Shayari

Dard aankho me jhalak jata h par hotho tak nai aata,
Ye majburi h mere ishq ki jo milta h kho jata hain
Use bhulne ka jajba to har roz dil me aata hain
Par kaise bhula de dil, har jarre me jisko pata hain

Share This
0

Basti ka Gunehgaar Dard Shayari

Aah aur dard bas tera talabgaar hua
Aankh patther huyi, ashk aabshaar hua

Ye judayi bhi amavas ka ek sitara hain
Chand k bin ye falak bhi daagdaar hua

Meri palko ka jhapakna bada muskil h
Aisa tab se h, jab se tera didaar hua

So rahe h en makano ke bashinde sabhi
Main jaga reh k basti ka gunehgaar hua

Share This