Mohabbat toh wo hain joh ik tarfa ho,
Izhaar e Ishq toh khawaish ban jati hai
Agar hai pyar toh aankho mein dekho,
Haal-e-dil baya karne se numaish ban jati h
Two Line Shayari on Andaaz
Umeed shayari
Shayari on Manzil
Happy Dhanteras Shayari in Hindi
2 Line Sad Poetry on ZIndagi
Propose Shayari
Sad Dhanteras Sms in Hindi
Aaj phir Dhanteras aaya hain
Phir aaj machal raha hu main
Khareedne ko Sona aur Chandi
Dhan pane ko taras raha hu main
Ameeron ki ye baate sun sun k
kuch kuch sulag raha hoon main
Kahte hai Shubh hota hain, khareed lo
Par kya mtlb 2 Roti ko taras rha hu main
Bhukh bhala kab mit ti h sone chandi k sikko se
rote dekh kuch bacho ko tadap rha hu main
Aaj phir Dhanteras aaya hain,
Laxmi ko tijori mein bharne ko,
Ek lahar sa dekh raha hoon main
Shayari on Zindagi
Sad Love Poems in Hindi
Zindagi kya hai dhuaa hi toh hain
Jo na chaha kabhi wahi toh hua hain
Unke pahlu mei hona toh haasil nahi
Kya hua hain agar jo chua hi toh hain
Humse pucha ye ishq hain bala kon si
Haske bole wo ye ek khuda hi toh hain
Humse pucha sawal-e-talab usne ‘Neer’
Hum to bole ye ishq ek gunah hi to hai
Raate kat ti nahi Din gujarte nahi
Aur kya hai ye bolo saja hi toh hai..