Logo se kah do humari takdeer se jalna chod de,
Hum ghar se dawa nahi bhagwan ki dua lekar nikalte h
Koi na de hume khush rahne ki dua, to b koi baat nahi
Vaise bhi hum khusiya rakhte nahi, baant diya karte h
Apne karam se wo mera mukaddar bana gya
Ek katre ko pal bhar me samundar bana gya
Phulo se b jyada naram tha kabi dil ye mera,
Jise itna tadpaya ke ab patthar dil bana gaya
Ruthi huyi zindagi ko manana toh aata hain,
Khud na hans sake par auro ko hasana to aata h
Hum khud naa bas sake kisi ke dil me to kya hua
Par logo ko apne dil mein basana toh aata hain
Gum ki mujh par kuch aisi najar ho gayi
Jab bhi hum hase ye aankhe nam ho gayi
Hum roye bhi toh wo jaan naa sake…aur
Wo udas b huye to hume khabar ho gayi