Maa Ka Ehsaas | Sad Hindi Poem On Maa

Jane kabse soya nahi hu main, sula do maa,
Aakar mere pas muje fir se loriya suna do maa,

Ansoo meri ankho mein jam se gaye hain,
Bhar ke dil mera mujhe ab rulaa do maa,

Bhuka hu main tere pyar bhare niwale ka,
Apne hatho se ek niwala khila do maa

Kese kese dard deke duniya rulane lagi h muje
Aanchal me leke muje inse nijah dila do maa

Koi nai h mera ye ehsaas dilane lagi h duniya
Thamkar hath apne hone ka ehsas dila do maa

Share This

Cute Love Poem in Hindi For Him By a Girl

Woh suhane lamhe ab bhulaye nahi jate
Yaado k parinde yu hi udaaye nahi jate

Woh chhat par aana wo julfe lehrana
Sabhi pegaam likhkar bataye nahi jate

Woh bahana, saheli k ghar padne jana
Gali k chakkar ab aise lagaye nahi jate

Wo aangan mein aakar angithi jalana
Purane bahane to ab banaye nahi jaate

Mohalle ki shadi me saj-sanvar kar jana
Humesha toh ye jalwe dikhaye nahi jate

Woh kisi kone me chup kar aansu bahana
Aise ehsaas toh “Meet” karaye nahi jate

Share This